Poem Dedicated to NIIT Technologies

Mumbai ke mittal towers mein, hue ujaagar the
RSP aur vijay ne kamaal kiya, jab chairman shiv nadar the
Nadar ji ki help se, education business ki shuruaat hui

HCL ko software diya, kaisi ye karaamaat hui
Sybase ke lie software becha, hcl ko free serve kiya
Software ko phir paid kiya, hardware ko free serve kiya

Technical skills ke alawa, domain pe focus kiya
Y2K bug aane par bhi, education se turn naa lia
People independent growth ke lie, logon ko hire kiya
Room solution aur softech ko, jaldi se aquire kiya

Non linear business mein, ip ims aur cloud the
Vision aur mission ko kahne mein, dekho saare loud the
SEI ko dost banaya, british airways kaa saath naa choda
Structure aisaa hua humara, business kaa phir bhaga ghoda

Chaar dimension karne mein, matrix structure kaam tha aaya
Geographies, practices ke saath saath, vertical organizations ko araam tha aaya
Customer ki discussion mein, pahli choice NIIT ho
Information manage karne mein, safal tumhaari IT ho
Hole in the wall hua, sugata ki mehnat se
17 deshon tak hum pahunchay, khuda ki rahmat se

RFI tag lagaakar, bachaya mareejon ko aur bachon ko
NIIT foundation launch hua jab , train kiya tab kachon ko
Service royal karke apni, dus ki chai sau ki ho gayi,
customer service pe focus kiya to, ek mein shakti dau ki ho gayi
skilled to hain hi hum sab, domain focussed bhi hum ban jaaein
Ford ki standardisation se seekhain, customer focussed hum ban jaaein
vision humara poora ho, IT yun aabaad rahe
hum rahe naa rahein, niit jindabad rahe

company grow up tab tab hogi, apni growth jab jab hogi
20% se jyada hongi, growth females ki tab tab hogi
skills bhi honge, knowledge hogi
competency attitude ki, niit ki har dil mein hogi

pms ko use karo ab, digital dairy ab tum kholo
karlo apna review ab tum, suverpervisor ab tum bolo
competency assessment kar lo, lelo thoda technical feedback
ief assessment karke, le lo thoda behavior feedback

employee education kaa school khula hai, jisko hum sab seed kahenge
Coffman ki book ko padkar, service acchi hum sab denge
Paanch saal ki service dekar, 6 mahina rest karo tum
Salary tumhari aati jaawe, skills ko apne best karo tum
Qms ko update karo ab, 6 mahine beet gaye hain
SEPG help karo ab, CMMI jeet gaye hain
Unmanage se, hue reactive
Prediction karke, hue proactive
Timeline kaa jaddoo aisaa, quantitatively hue hain active

Maturity levels ye hain saari, baaki hum sub bhool gaye hain
QMS mein seekha humne, QR 12 mein query recording
Testing mein bhi seekha humne, 28 QR mein defect recording
Configuration manage kar lo, tortoise ko install karo tum
VSS aur CVS ko, backup leke tall karo tum
Controller code ko review kar lo, phir se uski testing kar lo
Dynamic mein change karo ab, TL PM tum nesting kar lo
Final code ko static kar do, CM se ab setting kar lo

Poem by Puneet Verma,  Ex NIITian

Loading

Facebook Comments
mm
Puneet Verma is a passionate traveler, environment blogger, techie and nature lover. He owns a beautiful community of 400+ environment enthusiasts at missiongreendelhi.com. Join MGD's #Delhikabagh latest environment awareness campaign and tag @missiongreendelhi and #Delhikabagh on Facebook and Instagram with your environment friendly posts.

Reach out to Puneet @9910162399 for collaboration for making Delhi green and clean.
What are you looking for ?

    ×
    Connect with Us

      ×
      Subscribe

        ×