Chalaa gaya jo khel chodkar

Shahar kaa apne naash dekhkar, Ghoom raha hun pal pal darta
Ramayan aur geeta sunkar, Yaad tumhe hun pal pal karta
Jeevan se jo haar raha hai, uski peeda mar rahi hai
chalaa gaya jo khel chodkar, uski peedi haar rahi hai

Din kaa suraj, hua khatam jo, Charitra kaa mere hua patan jo
Dekh ke humko taras aaa gaya, Khatam humara hua watan jo
Naa hi ab kanoon raha hai, naa to ab sarkaar rahi hai
Jeevan se jo haar raha hai, uski peeda mar rahi hai
chalaa gaya jo khel chodkar, uski peedi haar rahi hai

Kisi ke haath mein bandookein hain, Kisi ke haath mein aaj chura hai
Tadap rahi hai pal pal aurat, shahar kaa apne haal bura hai
Maaya sab kuch khatam kar rahi, Dekho yun lalkaar rahi hai
Jeevan se jo haar raha hai, uski peeda mar rahi hai
chalaa gaya jo khel chodkar, uski peedi haar rahi hai

Loading

What are you looking for ?

    ×
    Connect with Us

      ×
      Subscribe

        ×